mujhe udne do......na roko mujhe

tanha katengi raatein,. Mere andar jo ujaala hai use jarurat hai bas apke vishwash rupi tel ki,. Abhi samjho yaa kabhi samjho magar jab bhi samjho jarur laa dena wo meri muskurahatein....... Mai na hun dariya na dariya ka kinaara, mai na hun koi chamatkar, na hi farishta tumhara,. Mai na hun un aasmaanon ki unnchai sa, ...
199KB taille 3 téléchargements 227 vues
MUJHE UDNE DO......NA ROKO MUJHE

Udne do mujhe,kuch karne do mujhe, kuch nahi kar sakte, to aage badne do mujhe..... Chehre pe udaasi, lafzon me khaamoshi si hai, Dil me dard, sukoon me madhoshi si hai, Kuch kar gujarne ki chaahat ku khatam si ho rahi, Aankhen h dhundli, ku vivek me itni behoshi si hai. Chalte hai, girte hai, girkar sambhalte hain Jab girte hai tab hi girne ki chot ko samajhte hain Jo chalne do agar in kadmon ko tum befikar, Na roko na toko na rakhon un kadmon pe nazar, Fir dekho inke chehre kya musurake khilte hain..... Bante - banaate, savarte - savaarte, ladte - ladkhate, seekhne do inhe wo jeevan ki baatein, Kuch pal ke liye shaayad majhdaar me fas jaaenge, kuch tanha katengi raatein, Mere andar jo ujaala hai use jarurat hai bas apke vishwash rupi tel ki, Abhi samjho yaa kabhi samjho magar jab bhi samjho jarur laa dena wo meri muskurahatein....... Mai na hun dariya na dariya ka kinaara, mai na hun koi chamatkar, na hi farishta tumhara, Mai na hun un aasmaanon ki unnchai sa, mai na hun un paatalon ki gehraai sa,

Mai hun to bas ek aap jaisa hi insaan jise bhi aas hai ki mil jaayye kbhi aapka sahaara... Kaash aisa ho jaaye to ye koyla bhi ban jaaye ek chamakta sitaara....... Udne do mujhe, kuch karne do mujhe, kuch nahi kar sakte to please aage badhne do mujhe........